Tuesday, 17 July 2012

Main bhool gaya tha k muhabbat k shehar say 
Ik bar gaya hai jo palat-ta hai nahi hai 

Tinko'n ka gharonda hai muhabbat ka jahan bhi 
Ik bar jo bikhray tu simat-ta hi nahi hai 

Khamosh nigaaho'n main koi baat hai pinhaa'n 
Bay wajha yeh kajal tu bikharta hi nahi hai 

Hum bhoolna na paaein gay bhulain gay bhi kaisay 
Woh shaks nigaahon say nikalta hi nahi hai 

Us shaks ki nafrat ka samandar bhi anokha 
Jis waqt say bhi bip-phra hai sa'nbhalta hi nahi hai 

Woh chorr gaya hai meray is dil k shajar pay 
Ik aas ka mosam k badalta hi nahi hai